Monday, January 21, 2008

Mohabbat – aaghaaz ya anjaam

Ae mere anjaan yaar; sirf tujhse pyaar karte hain
Tujhe shayad paa na sake hum; lekin tera hi deedar karte hain,
Tassavvur mein hamare; beete pal hi aate hain,
Is toote dil ko bas; wohi pal khushi ke nazar aate hain,
Tujhse shikwa kya karein; tune to mohabbat ki ghehraai ka ehsaas karaaya hai,
Ae mere bedard sanam; door hokar bhi hamein hamesha tu hi yaad aaya hai,
Tere chehre ki muskurahat ko bhula nahi pate hain,
Duniya ke har kalha-kal mein apne aapko tanha hi paate hain,
Aankhon se aansu ka dariya bhi nikal na paaya,
Tu hamse door ho gayi; ab yeh dil kabhi sambhal hi na paaya,
Kabhi kuch unkahi baatein; apne aapse hi kar jaate hain,
Kyon tu mujhse door hua; yeh sawaal us khuda se kar jaate hain,
Muntzir hain kabse; teri mohabbat ke liye,
Raqeeb ki zaroorat na padi hamein; apni takdeer ke liye
Tere sang bitaaye lamhon mein mohabbat ka aaghaaz nazar aata hai,
Shayad tujhse juda hona hi hamare naseeb ke anjaam mein aata hai


- Written by Raveesh Malhotra on 01/22/2008 at 2.52AM

No comments: