Ro padta hoon jab bhi teri yaad aati hai,
Jab bhi teri baatein yaad aaati hain,
Yeh aankhein apne aap hi nam ho jaati hain,
Main to teri judai se hi tadapta reh gaya,
aur teri yaad mujhe aur sangeeda kar jaati hai.
Yeh ashkon par mera zor nahi chalta,
Yeh to teri yaad hai jo mehfil mein bhi tanha kar jaati hai,
Dhundta rehta hoon tera chehra doosre logon mein,
Par tu kahan duniya mein doosri mil paati hai,
Tassavur mein to tu hi nazar aati hai,
Par hakeekat mein kyun mujhse juda ho jaati hai,
In sawalon ka jawab dene tu sawaali ke dar par aati hai,
Par teri sachai is sawaali ko khaamosh kar jaati hai.
Mujh jaise to is duniya mein hazaaron milenge,
Par tu Kohinoor ka who heera hai jo kahan har kisi ko mil paati hai.
Written by Raveesh Malhotra.
Friday, August 1, 2008
Thursday, July 24, 2008
tum se tha.....
Meri to zindagi bhi tum se thi,
Mera to deedar bhi tumse tha,
Mera to aaghaaz bhi tumse tha,
Mera to anjaam bhi tumse tha,
Sab takdeer ka khel hai shayad,
Varna mera to har khwaab bhi tumse tha,
Tanha chod kar chali gayi tum mujhe,
Varna mera to sansar bhi tumse tha.
Jahan raho khush raho yehi dua karte hain,
Kyunki mera to bas pyaar hi tumse tha.
Written By Raveesh Malhotra

Monday, July 21, 2008
100 Days of Separation
In 100 dino ki judaai ne bahut kuch sikhaya hai,
Jab bhi ankhein band kari bas tera hi khyaal ayaa hai,
Jaante hain is mohabbat ka kuch anjaam nahi hoga,
lekin shayad mohabbat na sahi tumhaare doston mein pehla naam to hoga,
tumhaari us naa mein hamein haan nazar aati hai,
sunkar awaaz tumhaari khud khuda ki tasveer aa jaati hai,
mandir maszid bhool chuke the, tumne yaad karaya hai,
tumhaare saath beeta har pal hi bas hamein yaad aaya hai,
takdeer mein na sahi, tassavur mein sirf tum hi aati ho,
shayad kasoor us sachchai ka hai jo tum apne dil mein hi chupaati ho,
in 100 dino mein 100 janmon ki doori hamne bitaayi hai,
sab kismat ka khel hai shayad ki abhi bhi lambi judaai hai,
tumko palkon par baitha kar rakhte ham to aafreen,
tum jaisa to koi nahi kyonki tum ho hamari jaanasheen,
Kismat ka dastoor hai shayad, mohabbat kabhi nahi mil paati hai,
lekin aaj bhi guzre pal yaad kar aankh hamari bhar aati hai,
Kuch maanga us khuda se to bas apne Janasheen hi parchaai hai,
kyonki teri to prachaai mein bhi hamari jaan basti aayi hai.
Written by Raveesh Malhotra on 8/29/2007 at 3.45PM

Monday, January 21, 2008
Mohabbat – aaghaaz ya anjaam
Ae mere anjaan yaar; sirf tujhse pyaar karte hain
Tujhe shayad paa na sake hum; lekin tera hi deedar karte hain,
Tassavvur mein hamare; beete pal hi aate hain,
Is toote dil ko bas; wohi pal khushi ke nazar aate hain,
Tujhse shikwa kya karein; tune to mohabbat ki ghehraai ka ehsaas karaaya hai,
Ae mere bedard sanam; door hokar bhi hamein hamesha tu hi yaad aaya hai,
Tere chehre ki muskurahat ko bhula nahi pate hain,
Duniya ke har kalha-kal mein apne aapko tanha hi paate hain,
Aankhon se aansu ka dariya bhi nikal na paaya,
Tu hamse door ho gayi; ab yeh dil kabhi sambhal hi na paaya,
Kabhi kuch unkahi baatein; apne aapse hi kar jaate hain,
Kyon tu mujhse door hua; yeh sawaal us khuda se kar jaate hain,
Muntzir hain kabse; teri mohabbat ke liye,
Raqeeb ki zaroorat na padi hamein; apni takdeer ke liye
Tere sang bitaaye lamhon mein mohabbat ka aaghaaz nazar aata hai,
Shayad tujhse juda hona hi hamare naseeb ke anjaam mein aata hai
- Written by Raveesh Malhotra on 01/22/2008 at 2.52AM

Subscribe to:
Comments (Atom)