Thursday, July 24, 2008

tum se tha.....

Meri to zindagi bhi tum se thi,
Mera to deedar bhi tumse tha,
Mera to aaghaaz bhi tumse tha,
Mera to anjaam bhi tumse tha,
Sab takdeer ka khel hai shayad,
Varna mera to har khwaab bhi tumse tha,
Tanha chod kar chali gayi tum mujhe,
Varna mera to sansar bhi tumse tha.
Jahan raho khush raho yehi dua karte hain,
Kyunki mera to bas pyaar hi tumse tha.

Written By Raveesh Malhotra

Monday, July 21, 2008

100 Days of Separation

In 100 dino ki judaai ne bahut kuch sikhaya hai,
Jab bhi ankhein band kari bas tera hi khyaal ayaa hai,
Jaante hain is mohabbat ka kuch anjaam nahi hoga,
lekin shayad mohabbat na sahi tumhaare doston mein pehla naam to hoga,
tumhaari us naa mein hamein haan nazar aati hai,
sunkar awaaz tumhaari khud khuda ki tasveer aa jaati hai,
mandir maszid bhool chuke the, tumne yaad karaya hai,
tumhaare saath beeta har pal hi bas hamein yaad aaya hai,
takdeer mein na sahi, tassavur mein sirf tum hi aati ho,
shayad kasoor us sachchai ka hai jo tum apne dil mein hi chupaati ho,
in 100 dino mein 100 janmon ki doori hamne bitaayi hai,
sab kismat ka khel hai shayad ki abhi bhi lambi judaai hai,
tumko palkon par baitha kar rakhte ham to aafreen,
tum jaisa to koi nahi kyonki tum ho hamari jaanasheen,
Kismat ka dastoor hai shayad, mohabbat kabhi nahi mil paati hai,
lekin aaj bhi guzre pal yaad kar aankh hamari bhar aati hai,
Kuch maanga us khuda se to bas apne Janasheen hi parchaai hai,
kyonki teri to prachaai mein bhi hamari jaan basti aayi hai.

Written by Raveesh Malhotra on 8/29/2007 at 3.45PM